Tuesday, August 18, 2009

That's called Presence of Mind !!

Ek din ek kutta jungle main raasta kho gaya . Tabhi usane dekha ek

sher uskii taraf aa raha hai. Kutte ki saans rookh gayi. "Aaj to kaam
tamaam mera!" usne socha. Phir usne saamane kuchh sookhi haddiyan padi
dekhi. Woh aate hue sher ki taraf peeth kar ke baith gaya aur ek
sookhi hadii ko choosane laga aur zor zor se bolne laga, "wah! Sher ko
khaane ka maza hi kuchh aur hai. Ek aur mil jaaye to poori daawat ho
jayegi!"

Aur usne zor se dakaar mara. Is bar sher sakate mein aa gayaa. Usne
socha "ye kutta to sher ka shikar karta hai! Jaan bacha kara bhago!"

Aur sher wahan se champat ho gaya .

Ped par baitha ek Bandar yeh sab tamasha dekh raha tha. Usne socha yeh
mauka achha hai sher ko sari kahani bata deta hoon - sher se dosti ho
jayegi aur usase zindagi bhar ke liye jaan ka khatra dur ho jayega.
Woh phataphat sher ke pichhe bhaga. Kutte ne Bandar ko jaate hue dekh
liya aur samajh gayaki koi locha hai. Udhar Bandar ne sher ko sab bata
diya ki kaise kutte ne use bewakoof banaya hai. Sher zor se dahada,
"chal mere saath abhi uski leela khatam karta hoon" aur Bandar ko

apani peeth par baitha kar sher kutte ki taraf lapka. Can u imagine
the quick management by the DOG...

Kutte ne sher ko aate dekha to ek bar phir uskii taraf peeth karke
baith gaya aur zor zor se bolne laga, "Is Bandar ko bhej ke 1 ghanta
ho gaya , saala ek sher phaans kar nahi la sakta!"

Moral of the story
There are many such monkeys around us, try to identify them..

No comments: