1. Arz kiya hai ........... jara gaur farmaeaga ...........
Haathi naali me beh nahi sakta
Haathi naali me beh nahi sakta
aur main tere bina ab reh nahi sakta
ek aur ..............
2. Tu mere dil mein aise samaayi hai
Jaise baajre ke khet mein bhains ghus aayi hai
saheban pesh-e-khidamat hai .............
3. Ke khidki se dekha to raste pe koi nahi tha … Ke khidki se dekha to raste pe koi nahi tha … Aur raste pe jake dekha to khidki pe koi nahi tha ….
4. Door se dekha toh sher tha
gaur kijiega .....
Door se dekha toh sher tha
Pass ja kar dekha
Toh vakaai sher tha
bhaago
ek nur-e-sher pesh kar raha hoon
5. Darkat ke paimane pe chilman e husn ka
Furkat se yun sharmana….
Darkat ke paimane pe chilman e husn ka
Furkat se yun sharmana….
uparwali line ka matlab tumhare samaz mai aaye..
to hume jaroor batana.
agla wala load shedding pe ......... jara gaur farmayega
6. Jise Dil diya woh Dilli chali gayi..
Jise Pyar kiya woh Italy chali gayi...
Dil ne kaha Khud Kushi(Ssuicide) kar le zalim...
Bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi...
7. Door se dekha to santra tha, pass jake dekha to santra tha, chil ke dekha to bhi santra tha, Khake dekha to bhi santra tha
ye wala jara padhae likhae pe jor dalta hai .......
8. Maine tujhse pyaar kiya , tere baap ne mujhe peeta Sin by cos is equal to tan theta ……
9. Woh hamari gali me aaye…
Woh hamari gali me aaye…
Woh hamari gali me aaye…
Aur chillake bole…..
Dabba baalti.....bhangarwale
The below one is My favourite :-) !!!!!
10. Yahan bhi khuda hai ,
Wahan bhi Khuda hai,
Yahan bhi khuda hai ,
Wahan bhi Khuda hai,
Jahan nahi khuda hai wahan Kal khudega!!!
11. Galib ne likha diwar par chune se….
Galib ne likha diwar par chune se…
Yaha likhna mana hai…
Dekhiye mashuka ki tarif kaise karte hain ............
12. Yeh aankhen hai ya neeli jheel?
Yeh aankhen hai ya neeli jheel?
So? What's the big deal?
13. woh sadak ke uss par the ...
hum sadak ke iss par the.....
do kadam woh chale...
do kadam hum chale…
ab hum sadak ke uss par hai..
aur woh sadak ke iss par hai....
AUR PESH-E-KHIDMAT HAI.................
NUR-E-SHER ..................
GAUR FARMAEAGA .
|
|
|
|
|
|
14. taj mahal ko dekh kar bola shahajan ka pota....
taj mahal ko dekh kar bola shahajan ka pota....
gaur farmaeye shahajahan ka pota bol raha hai ................
taj mahal ko dekh kar bola shahajan ka pota....
apna bhi bank balance hota...
apna bhi bank balance hota...
apna bhi bank balance hota...
agar dada deewana na hota!!!!!!!!!!
Shukriya ........... Shukriya ........... Shukriya ........... :